Al Hamdulillahi Rabbil ‘Aalameen Allahumma salli wa sallim ‘alaa Sayyidul Mursaleen, Sayyidinaa wa Mawlaanaa Muhammadin, Khatimun Nabiyyeen wa Imaamil Muttaqeena wa Qaaidil Ghurril Muhaajjaleen wa Shafi’il Mudhnibeena Rasuli Rabbal ‘Aalameen, wa Hadi ila Siratul Mustaqim, wa ‘Alaa Aalihi wa Ashabihi wa Awliyaa-ihi ajma’eena wa Sallima tasliman kathiran kathira, Ya Khayrun Naasireen, Al Fatihah, Wa ba’d




Saturday, 15 August 2015

Independance Day - Yum-E-Aazadi

**********
Allah's (The Exalted) name I begin with, The Most Affectionate, The Most Merciful
All Praise is due to Allah (The Exalted)
Countless Salawaat, and Salaams upon His most perfect and highest of creation, the Messenger of Allah (The Exalted) (may
Allah bless him and grant him peace).

**********
Ae Allah Ham Tamam Ahl-e-Hindustan(15th August) wa Ahl-e-Pakistan(14th August) ko Yum-E-Azadi Mubarak kar.
Kuch Apni Fikr wa Baten aap Tamam ke Goshe Guzar karne ki sa'dat hasil karraha ho, Allah s.w.t se dua hai, ke hamari giraft/pakad na kare, aur ham tamam ki Islah kare.

***Introduction of Independance Day - Ta'arruf-e-Yum-e-Aazadi***

1. Deen-e-Islam Mukammil Deen hai, Jahan Alam-e-Arvah se Qayamat wa Akirat ka har pehlu shamil hai, Koi zabta-e-Hayat es se chota nahi hai, Deen-e-Islam Khushyon se rokne nahi aya balke inhe badane (increase karne)  aya Na sirf Khushi ko bilke es ki muddat(Time Limit) ko bi bada ne aya, agarche ke (irrespective of) nazar wa dimagh us ke barkhilaf kyo na Dikhaye.

2. Hamari Group Tazkiya-e-Nafs bi Tamam pehluhat ko samente(embrace) hua hai, aur Har Jihat me Nafs ki Paida ki hui Karabiyo ki Islah is ka kosusi maqsad hai aur es ka Tareeka ye hai ke ham khud ko agah/aware karwaye hamari Zulmato, Gunaho, Ghalitiyo, Ghuflato .. se Ta ke en ki Islah ke Sabab bane.

3. Celebration of Independance Day (Yum-e-Azadi ki khoshi manana), ye mauzu kisi ke yaha sara(completely) manana goya/jaise sare(altogether) haram hai, k wo es se mukammil kinara kashi karte hai, tu kahi wo dosra taqba hai jo es ko (Khushi Celebration ko) maqsad-e-hayat samjh bhait te hai, Halan k Kisi chez ko Haram kharar dene k liye (Daleel/Proof) Hujjat-e-Quran wa Hadees Darkar hai.

4. Jahan sidhi/wazeh/clear daleel nahi hai waha Ulama ne Ijtemayee taur per us ke masael bayan kiye, ham sirf/mahez apni Harthdharmi/zid (yane Baghair Hujjat-e-Shara-iee) k rok tok karrahe hai (to aisa karna ghalat hoga), Aayye (Let us see) chand wo baten jo mujh tak pohnche hai, ke mai aap ke Huzoor pesh karo aur guzarish hai k aap bi meri Islah kare, kyonke mai khud ko kuch bi janne wala nahi pata liekn jaan ne ke alaag alag andaz estemal karraha ho.

5. Ghulami se Azadi per khushi manana ye Fitri Khushi hai, es per bahes o mobahesa ya fatwa, Hujjat darkar nahi hai, halanke Fitri Khushi per alag alag ziman ke besou Ayaat wa Aahadees hai, jaise Maa Baap ko muskura kar dekhna (ye: khushi wa ulfat/mohabbat k daleel hai uar Haj-e-Maqbool ka Sawab hai). Phir Chote Bachou se Shafakat ki Ahaades jise Rahem se tashbi di (Kitab Al-Adab Al-Mufrad by Imam Bukhari sari ki sari aise Aahades ka majmua hai), kahin Huzoor ka Ummul qura aur madinatul Munawwara se mohabbat to kahi Yemen wa shaam ki azmat ka bayan to kahi hind se thandi hawa ka aana etc.

***Ab Tasawwur-e-Ghulami wa Azadi ka mukhtasar Jayeza lete hai***

1. Ghulami kise kehte hai? (Aaam Fahem me - Lughut ki nazar se nahi) Gulam aise Kisi Shaqs/Jaan ko Kisi Dosre Shaqs/Jaan ke dabaou me Na Haq k (Yane Ghair Shara-iee taur pe) Aeza/Takleef/pain/punishment/kaam dena aur us ke badle me koi Ajar/Mu'aafza/Tankha/salary nahi dena aur saath me mehnath karne wale ki (yane takleef bardhast karne wali ki) Marzi ya Mafa'ad shamil na ho to aise Musibat zada/Mehnat karne walo ko Ghulam kehte hai, k use takleef za'aher karne ka bi haq na diyagaya ho aur na hi zaroorat ki mutabiq khana, libas, makan waghaira bi ma'asser na kiya jaye.

2. Aazadi yane aise Ghulam ko aise Ghulami se Chutkara/escape/release milne ka naam Aazadi hai. Aur Deen-e-islam ne hi Ghulami se najat ke kaye zaabte/rules bataye wo bi khud ki galati/mistake ki mafi/forgiveness k awaz/penalty me, ta ke Gulamo ko Aazadi mile hamari zulmaton se aur hame Aazadi mile hamari khud ki dugni(ek jo kisi ko ghulam banaya tha us ki, dosre jo gunah kiya tha us ki) zulmatou se.

3. Aise pyare Nizam ko Deen-e-Islam (Religion of Peace) kehte hai Jahan Ghulam aur Malik do no k liye salamati hai, aur jo phir bi ghulami me baki rehjaye aise ghulamou ke liye islam ne un ke malikou ko Tambi ki ke Qayamat ke roz do Ghulamou (Slave) k bare me shakhti se pocha jayega ek wo jo (Elania) Ghulam hai to Dosra wo jo ka (Maqfi/Chupa hua Ghulam) zauja/biwi/wife hai.

4. Khayal rahe Ghulami hai hi Napasandida shai/cheez To Jis Din Aisi Ghulami se najaat mile aise din ko Yum-e-aazadi kaha jaata hai, Ab ye jaan ne k baad koi sawal kare ke Aazadi manana kaisa hai Deen-e-islam ki nazar me? tu aise shaqs/jaan/nafs meri liye Rehnumai-ee ki darkhwast hai.

5. Ab yaha kuch Ghulam naraz hon jayenge jo Deen-e-Islam ki nazar se Aashiq kahe jate hai, to aise ussaq se kehdo ke unki Ghulami me ye Ghulam-o-Malik (ka Napasandida ya zabaran ) rishta nahi hai balke Mehboob wa Mohib ka rista kehlata hai. Chah-ae koi khushi se zyada kidmat kare naukri/zimmedari se badkar Jise wo khud Ghulam/Ghulami kehte hai, to dosra wo jo zyada kidmat kare ye be Mohabbat-o-Ulfat me Farziat-e-Zaujiat se badkar to aise zaat ko wife/Zauja kehte hai. Aise Ghulami se Aazadi ki baat bi Haqeeqi Ghualmi se badtar hai (en Ushaaq ke liye).

***Sawal-o-Jawab - Question and Answers***

1. Ek Sawal jo banta hai ke Khushi hai kis chidya/bird ka naam? Muqtasaran es ko Tashakkur kehte hai (Shukriya ada karna).

2. Kis ka shukr ada karen? Awwal/first us Malik-e-Haqeeqi ka (Allah s.w.t) Jis ne Haqiqat me har Nemat ata ki, Duwwam/second us Habeeb-e-Malik-e-Haqeeqi ka ho Jis ke Sadqe me sari nematen naseeb hui aur jis ne Allah s.w.t se lekar sari nematen sari kayenat me taqseem ki, tesra en do mamalik ke wo ashqas ka jaise Kaid-e-Azam (Pakistan se) ya Mahatma Gandhi (Father of Nation) India se ya degar es Aazadi ki muheem/revolution me hissa lene walo ka, en tamam ka shukr banta hai. (Alhamdulillah).

2. Kya (Gathering)Ijtema-ee taur par kare? Khushi bant ne se badti hai, kyon ke ye koi chez/shai/ma'adda to hai nahi ke bant te hi khatam hojaye, lehaza milkar kare to koi harj nahi. bas utni karen jitni Lazim/Farz hai, (Namazou ki misal do baten samjane ke liye hai awwal namaz yaad dilane, duwwam zaher-o-batin ke farq ke liye warna namaz se muqabla bazi maqsood nahi hai) jaise Namaz-e-Farz ko Ijtema-ee taur pe adaa kiya jata hai, phir es me riya ka pehlu lazim nahi padta (jo ye bi Riya ke liye kare to Hamari nazar dilon tak jane se qasir hai).

3. Infradi taur per karna kaisa hai? Aisa jaise Namaz-e-Sunnat wa Nafil ho ke Kuch Ghar walo ke samne aur kuch mukammil infiradi taur pe, yane ghar walo ko azadi ke bare me bataye aur infiradi taur per Allah ka Shukr karte hue muskurayee.

4. Ye patakhe/crackers etc kaisa? Innallaha la yuhibbul fariheen, Beshak Allah had se badkar khushi manane walon ko pasand nahi karta, agar ye paisa kisi ghareeb/poor/Karzdar ki gareebi/Karze se azadi me estemal kiya jasakta hai to estemal kare aur us gareeb/karzdar ko us ki gareebi/karz se aazaadi dilaye ta ke wo bi aap ke sath azaadi ki khushi mana sake. Khud India wa Pakistan me aaj kai kaidiyon ko es din aazadi di jati hai.

5. Es dauran Huqooqul allah tarq karna, ya Huqooq-ul Ibad ko tarq karna (yane logo ko aaeeza dena) kaisa? Aisa hi jaise First class ka ticket liya aur Volcanic mountain me kud/jump kiya (balke es se hazarha guna badtar), ye kaise aazadi hai ke dosre ke arraam wali aazaadi hum us se cheen le.

***Akri kalam Bahawala-e-Tazkiya-e-Nafs - Foot Note in the Context of Purification of Self***

1. Jo Mazmoon ke Awwal/start ta/to Akhir/end Zahir/visible wa/aur Poshida/hidden hai. Yaa'ne khud ko aur dosro ko Ghulami se Aazadi dila-ao awwal apni un haqeeqi zulmatou se jo Jahannam ka ba'as banti hai, to dowwam dosro ko aazaad karo apni Rishwatou se, zulmatou se, haibat-o-Loot maar se, apne mansab wa Iqtedar ka najayez istemal se ......, phir eslah karo awwal khud ki aur apne sathiyon ki (rishtedar, padosi, dost-ehbaab, ham watniyon ki aur duwwam sari Aulad-e-Adam ki Haal-e-Mujade se.

2. Tazkiya-e-Nafs zaroori hai hamari zulmatou se parde hatakar us rabbe zul jalal ki bargah me Nadamat ke sath maghfirat talab karne ke liye, un tamam se mazirat khar hone ke liye jin ko ham Amadan wa Qasadan Aeiza dete aarahe hai, Hamme hamari Ghaflat wa zulmat ke ba'as hamari koi galati nazar hi nahi aati, jaab koi pyar se samjhaye tu ham laat/kick marte hai aur koi maar ke samjhaye to kehte "Pyar se Samjhate to baat kuch aur hoti, zyada log mustafeez hote" ye siwaye hile, bahanou ke kuch nahi hai aur aise hile sirf aur sirf Jahannam ke Sab se nichle hisse me lijate hai.

3. Quraan apni baar, baar nida/awaz/dawat deta hai ke ham khuda ki, kin kin nematou ko jhutlayenge, sureh Rehman: sara ka sara us Rehman ke nematou ko yaad dilaraha hai, aur sabit karraha hai ke ham Shukr nahi karte. Kahi afala yashkuroon hai, kahi wa In Shakartum la Azizannakum wa in kafartum inna azaballahi shadeedun hai. to kahi Fashkurini wala takfuroon hai. Ae Allah hame es Ghaflat wa dhoke se jaga ham naam ke musalman aur Ilm, Iman wa Ahwal se Munafiq, kafir wa Mushriq banne ki justaju me lage hai.

4. Ye mauzu/topic Jashn-e-Yum-e-Azadi (This Topic of Celebration of Independance) apne josh-o-kharoosh se hamari zindagiyo me nazar aataa hai, hai afsoos ham us choti gulami Brike/rishwat aur badi Gulami jo khud ke Nafs Master/Ustad ki aur us ka Shagird/Student Shaitan/Satan ki karrahe hai, us gulami se khud ko azaad karne ke baat bi hame pasand nahi hai, ajeeb bewaqoofi hai meri ke ek gulami ki aazaadi mana raha ho aur degar do gulami se khud ko hata nahi raha ho (ae Allah s.w.t to hi hatade mahez apne fazal se).

5. Ye Tazkiya-e-nafs (Group/Subject) dawat-e-Fikr deraha hai, ke khuda Qasam kha kar kehraha hai ke Tamam Insaniat Ghate me hai, khudara khud ko aur mujh ko es ghate ke saude se bachao, Sureh Asar hamare dhalte/rinse hote hue time ko yaad dilanae me laga hai waqt-e-Asar ki kasam kha kar hame jhinjhod raha hai wo Malik-e-Asr, Aao kuch deer rehgaye hai (Allah jane kitni) ke hamari zindagi ka surooj doobne wala hai, hamare Munshi (Kiraman katibeen) apna daftar/records lekar jane hi wale hai, hum apne Gunahou ke record ka khali aur Neikiyon ke record ko full jaante wa mante hai, khud ko ye dhoka dekar Tauba wa Ibadat se mehroom ho rahe hai. Ae Allah Hamari har qami darguzar farma (es tehreer wa padne ko bi) aur es Sureh Asr ki Fikr hame samjha de was'ta tujhe
tere pyare mustafa ka.

***    (سُورة الْعَصْر) Sura al-‘Asr    ***

بسم الله الرحمن الرحيم
(وَالْعَصْرِ) By the passing time - (زمانہ کی قَسم)
(إِنَّ الْإِنسَانَ لَفِي خُسْرٍ) Indeed, mankind is in loss  -  (بیشک انسان خسارے میں ہے (کہ وہ عمرِ عزیز گنوا رہا ہے)
(إِلَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَتَوَاصَوْا بِالْحَقِّ وَتَوَاصَوْا بِالصَّبْرِ) By the passing time - (سوائے ان لوگوں کے جو ایمان لے آئے اور نیک عمل کرتے رہے اور (معاشرے میں) ایک دوسرے کو حق کی تلقین کرتے رہے اور (تبلیغِ حق کے نتیجے میں پیش
آمدہ مصائب و آلام میں) باہم صبر کی تاکید کرتے رہے)
***Inshahallah to be continued***

No comments:

Post a Comment