**********
Allah's (The Exalted) name I begin with, The Most Affectionate, The Most Merciful All Praise is due to Allah (The Exalted) Countless Salawaat, and Salaams upon His most perfect and highest of creation, the Messenger of Allah (The Exalted) (may Allah bless him and grant him peace).
**********
بسم الله الرحمن الرحيم
Bismillahir Rahman Nirraheem
Assalamua Alaika Ayyu Han Nabiyyo Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu, Assalamu Alaina (Ham par bhi) Wa Ala Ibadallahi'is Saliheen (Auliya per bhi).

Qurbani Ek Tadap, Ek Jazba, Ek Justaju, Ek Mujaheda ka naam hai:-
Quran: Allah s.w.t ke paas hargiz, hargiz nahi pohanchta tumhari Qurbani ka gosht aur na hi tumhari Qurbani ka khoon, agar kuch pohanchta hai to wo tumhare dilon ka Taqwa hai (Dil me jo Ehsaas-e-Qurbani hai sirf wo pohanchta hai).

Kyon ke, (Sureh Iqlas - Aayat # 2):- Allahus Samad - Allah Beniyaz hai, aisa beniyaz hai ke use kisi ki na zaroorat hai aur na koi parvah hai, Na jis ne Qurbani di us ki aur na jis ki Qurbani di gayi us ki, (Khudara apne jurrat ko Hudood me rakhna kyon ke) yaha Allah walon ki baat nahi hori, kyon ke Allah phir bhi kareem hai ke (oper ki aayat me kehdiya ke) dilon ka taqwa Qubool karleta hai. Jahan Dil aur Taqwa ek hojata hai un Nufoos ko Aulia Allah kaha ja ta hai, Anbiya ki zaath samjhna ya samjhana hamari hamari Fahem-o-Idradk se pare hai.
Qurbani Ka Irada Zaher Karna: Sureh As-Saffat # 37 - Aayat # 102 - Ibrahim a.s ne kaha: Ae bete maine Khab me dekha ke Mai Tujhe Qurban karraha ho, Tera kya khayl hai? Ismail a.s ne Jawab diya, Aap ko jo Hukum hua wo kardijiye, Inshahallah ankhareeb aap mujhe Sabireen me se payenge.
Ye Ajeeb baat thi ke Ismail a.s ne apne Walid se kaha aap ko jo Hukum hua wo kardijeye, aur mujhe jo hukum hai mai wo karonga, aur es baat per mukammil Ehtiyaat karte hue kaha ke Allah Chahe to, (Ye Bandagi ki azeem misal hai, ke Inshahallah kaha, kyon ke Allah s.w.t ke Chahat ke baghair koi neiki ko nahi pohanch sakta) Aisi pyari Talimat ain Qurbani ke waqt sirf Anbiya a.s hi de sakte hai. Phir Sabar karne ki baat ko bhi khud se mansoob nahi kiya, balke kaha ke aap mujhe ankhareeb Sabireen me se palenge..
Subhanallah, ye andaz-e-guftagu Ismail a.s ki ke Qurbaan hone tayyar hai, leiken Baghair Allah ki chahat ke Neiki aur Sabar ka Tasawwur nahi rakhte, tab hi to kehte hai "Inshahallah" agar Allah ka Mansha mujhe kamiyab karne ka hai (us amal me jo mai karna chahta ho) to.
Qurbani ka marhala: Sureh As-Saffat # 37 - Aayat # 102 - Kanzul Iman: Phir dono ka Raza-e-Ilahi ke samne jhuk gaye aur Allah ke Hukum ko dono ne mann liye, aur Ibrahim a.s ne apne bete [Ismail a.s] ko peshani ke bal lita diya,
Degar Tafseelat: Khud Ismail a.s ki guzaris per ankhon per Patti bandhna, ankhon per aur hathou ko, ke koi beadabi na ho ke takleef ke ba'as hath paou marne na lagjaye jaise bakre/dumba karta hai "Allahu Akbar" ye Ehtiyaat-e-Adab Qurbani ke dauraan ya, yon kahon Sakraat-e-maut me bhi Nabi ki tazeem ka ye Jazba "Allahu Akbar, Allahu Akbar, La Ilaha Ill'Allah".
Phir Churi/Knife ka wo chal'ana, aur churi ka na chalna, Ibrahim a.s ka chird kar churi ko pathar par phenkna aur pather ka churi se katjana, phir Ibrahim a.s ka churi ko uthana aur churi ki dhar per bharoosa karke dubara koshish karna, wo gale ka phir bhi na katna, Ibrahim a.s ka churi se narazgi me pochna ke "Kaat ti kyon nahi mere bete Ismail a.s ka gala baad mere hukum dene ke?" aur Churi ka jawab dena "ke kya karo aap ek baar hukum dete ho ke kaat gala Ismail a.s ka, Aur Allah s.w.t ka 100 bar hukum dena ke mat kaat gala Ismail a.s ka".
Phir Ibrahim a.s ka apne Iqtiyarat ko estemal karte hue gala Kant ne ki koshish karna aur Ismail a.s ko Jibra'eel a.s ka Dumbe se badal dena (Fidya, "Bezibhin Azeem"), khud Allah tabarak-o-tala ka nida dena ke Ae Ibrahim a.s aap ne Khwab ko sach kar dikhaya.
Nazar-e-Ishq ki Tafseer:
Allah Tala ki janib se Nida: (Sureh As-Saffat # 37 - Aayat # 105) Ae Ibraheem aap ne sach kar dhikaya Khawab ko, aur ham eshi tarha badla dete hai Mohsineen ko.
Ismail a.s ki Qurbani ke alahwa jo degar khwab Ibrahim a.s ne sach kar dikhaye wo ye hai. khwab-e-Insaniyat ka, Khwab-e-Jazba Qurbani ka, khwab Nabiyon ke Allah ka dost hone ka, Gala nahi kata bete ka to gussa aajaye churi per, phir sirf phenkdo to pahad katjaye, phir churi ke wazahat per bhi ke Allah mana karraha hai gala kant ne se, Jazba-e-Qurbani ke liye Ikhtiyaar-e-nabi estemaal karna, ke bete ka gala kat jaye, Qurban hojaye ba ek waqt bete ki zindagi aur walid ki mohabbat dono Allah s.w.t ki Rah me. "Allahu Akbar, Allahu Akbar, La Ilaha Ill'Allahu, Allahu Akbar".
Koi mujh se pooche ke Ismail a.s ka "Sabar" se kya murad tha? (Sureh Baqara #2 - Aayat # 153) In'allaha Ma'as Sabireen, Beshak Allah sabar karne walon ke sath hai. Pata chala ke Qurbani ke liye jo itna tayyar the us, Ismail a.s ke sath to Allah pehle se hi tha ke jawab bhi Ajab, Adab aur Ghazab ka tha, phir hath bandwana aur sabar karna yaha tak ke churi bar bar gale per chalti rahe. Hairat-e-Insaniyat ne sawal kiya ke Ae Ismail a.s ye kaisa sabar hai ke gala kata'ne ek bar nahi, balke bar bar sabar karte hue lete hue ho? Jawab diya Ismail a.s ne ke mera Sabar ka misdakh kuch aur hai ke mai Sabar se leta raha ke kam az kam agli baar hi sahi mera gala kat jaye. "Allahu Akbar, Allahu Akbar, La Ilaha Ill'Allahu, Allahu Akbar, Allahu Akbar".
Koi pooche Ibrahim a.s se ke, Ae Ibrahim a.s ye bechaine kaisi, kahin Jo bete ki Qurbani dena padraha hai kahi es per to nahi? Kaha nahi, balke bete ki Qurbani jaldi dena chahta ho, leiken kya karo ye Churi/Knife hai ke Chalti hi nahi, bar bar koshish karta ho, Churi phir bhi nahi chalti, phenkta ho bila irada bhi to pahad kant dete hai, bar khilaf iske jab bil Irada mere Ismail a.s ka gala nahi kant te, bas es baat ne mujhe Kaifiyat-e-Esteraab me kardiya hai.

Poocha meri Fikr ne, wo[Churi] to es liye nahi kant rahi the, ke aap ke ek bar hukum dene par Khud Allah s.w.t us churi ko 100 bar hukum deta hai ke na kaate to aap kyon dubara koshish karte hai? Kaha Allah s.w.t ne Churi se kaha tha, mat kantoo mujhe nahi kaha tha ke gala na kanto, es liye mai Apne Iqhtiyaar ko estemal karte hue kante ne laga.
Leiken ye bechaini kaisi ae Ibrahim a.s? Jawab diya Ibrahim a.s ki Qurbani ne ke ye Bechaini kaise na ho? Allah s.w.t sab kuch dene wala jab (Khawb me hi sahi) Ek Qurbani mang le, to kya mai wo bhi bechaini aur jaldi se na do? Agar es baat per bechaini na ho to bechaini/jaldi karo kis baat per? "Allahu Akbar, Allahu Akbar, La Ilaha IllAllahu, Allahu Akbar, Allahu Akbar, wa Lil'llahil Hamd".
Dua: Ae Allah hame ye Jazba-e-Qurbani ataa farma jo Ibrahim a.s wa Ismail a.s ne diya, tere en dono ke sadqe aur un ke sadqe jin ke sadqe, khud enhi bhi ye nemate mile (Rasoolallah pbuh ka), Aameen Bijahi Sayyidil Mursaleen, Sureh Kauthar 108 - Aayat # 2 Fasalli Li Rabbika WanHar, "Apne Rab ki Namaz padho aur Qurbani do" ye Qurbani ka bayaan abhi baqi hai.
Allahummagh Firili Wali Wali Daiyya Walil Momineena Yuma Yaqumul Hisaab.
Allahumma salli Ala Sayyidina Wa maulana Mohammadiyon Wa Ala Aali Sayyidina Wa Maulana Mohammadin Fil Awwalina Wal Akhirina Wa Fil Mala'il Aalaa Ila Yum'idden.
Quranic Aayat and References:
Sureh As-Saffat # 37 - Aayat # 102 - Irfan-ul-Quran - Arabic & Urdu
فَلَمَّا بَلَغَ مَعَهُ السَّعْيَ قَالَ يَا بُنَيَّ إِنِّي أَرَى فِي الْمَنَامِ أَنِّي أَذْبَحُكَ فَانظُرْ مَاذَا تَرَى قَالَ يَا أَبَتِ افْعَلْ مَا تُؤْمَرُ سَتَجِدُنِي إِن شَاءَ اللَّهُ مِنَ الصَّابِرِينَ
پھر جب وہ (اسماعیل علیہ السلام) ان کے ساتھ دوڑ کر چل سکنے (کی عمر) کو پہنچ گیا تو (ابراہیم علیہ السلام نے) فرمایا: اے میرے بیٹے! میں خواب میں دیکھتا ہوں کہ میں تجھے ذبح کررہا ہوں سو غور کرو کہ تمہاری کیا رائے ہے۔ (اسماعیل علیہ السلام نے) کہا: ابّاجان! وہ کام (فوراً) کر ڈالیے جس کا آپ کو حکم دیا جا رہا ہے۔ اگر اﷲ نے چاہا تو آپ مجھے صبر کرنے والوں میں سے پائیں گے
Sureh As-Saffat # 37 - Aayat # 102 - Kanzul Iman
Then when he became able to work with him, he said, 'O my son, I have dreamt that I am slaughtering you,now look you, what is your opinion'. He said, 'O my father, do as you are commanded, Allah willing, you willfind me patient.'
Sureh Iqlas # 112 - Aayat # 2 - Irfan-ul-Quran - Arabic & Urdu:
اللَّهُ الصَّمَدُ
اﷲ سب سے بے نیاز، سب کی پناہ اور سب پر فائق ہے
Sureh Iqlas # 112 - Aayat # 2 - Kanzul Iman - English:
Allah the Independent, Care free.
***Inshahallah Allah Ki Haul-o-Kuwwat ese jari rakhonga***
No comments:
Post a Comment